Nazam Poetry


"SUNO.....NARAAZ HO HUM SE ~

Suno.....
Naraaz Ho Hum Se?
Magar Hum Vo Hain Jin Ko To Manaana b Nahi Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Se Muhabbat Jo Nahi Ki Hay
Muhabbat Kis Tarah Hotii Hay?
Hamary Shehar k Atraaf Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka
Aur Iss Shehar-e-Preshan Ki Faseelein
Zard Bailoon Se Ladi Thin
Aur Un Mein Na Khushboo Thi,Na Koi Phool Tum Jaisa
Mehak Uthtey Hamary Deeda-o-Dil Jis Ki Qurbat Se
Hum Aisy Shehar Ki Sunsaan Galioon Mein
Kisi Sookhy Hoye Veeran Pattay Ki Tarah Se Thy
k Jab Zalim Hawa Hum Per Qadam Rakhti
To Uss k Paaon k Neechay Hamara Dam Nikal Jata
Magar Pat Jharr Ka Vo Mousam
Suna Hay Tal Chuka Ab To
Magar Jo Haar Hona Thi
So Vo To Ho Chukii Hum Ko
Suno.....
Haaray Hoye Logoon Se To Rootha Nahi Karty...!!!



"Roz-o-shab"

zaat kay sheeshay pe gard jamti hai
puragandah khayaloo.n kee
koi aata hai .....
Zaat kay sheeshay peh jamati gard baRhtee hai
...................ajab uljhan see hoti hai
kabhi koi baat pathar kee tarah lagti hai seenay per
ihsaas timilata hai
Kabhi harfoo.n kee barish
...................habs ka maosam jagatee hai
Kabhi lafzoo.n ka andoh, aag bharkata
...................jala ker raakh kerta hai
Shehr-e jaa.n mai Raakh urtee hai....
.......zaat kay sheeshay pe jamti gard baRhti hai!!!
Koi aata hai .....
taira naam laita hai
zaat kay sheeshay say chimti gard chhat'ti hai
(koi qitar ander qitar diye jalata hai
...............................mohabat kay
.....Ajab roshan, sakoo.n aawar)
Roshni zaat kee darzoo.n say chhantee,
deikhnay waloo.n ko mehsoor kertee hai
ehl-e mohabat khushboo'ai.n mehssos kertay
.............ta'ajjub bhari soachai.n ulat'tay hai.n
"ye kaisa moajza hai?
ye kio.nker ho gaya hai??"
wo mujh ko mas kertay
shouq say taktay hee jatay hai.n
faza mai un kee saa.nsai.n goo.njte hai.n
Khushbooai.n unhai.n hairan hota deikhtee hai.n
......................tou itra kay chaltee hai.n
wo mujh ko ghair laitay hai.n
rang-o noor mai bheegee muskanai.n raqs kertee hai.n
aa.nkhoo.n mai gulabi doray jhilmilatay hai.n
Aajab ik kaif ka aalam
...........safr-e be-khudi aaghaz kerta hai!
Ye maiary sath rehtay hai.n
jab tak koi aata hai .....
..........taira naam laita hai ....!
zaat kay sheeshay pe gard jamti hai
.........puragandah khayaloo.n kee!



Saniha~

tum hi kahoo... yeh kaisa qissa hua
main kaise rangoon ki...pholoon ki batein karoon
woh raang sarey jo ujaar gaye hain
manoo mitti main soo gaey hain
phool sarey gulshaan ke roo gaey hain
zameen ki chaadar urhay soo gaey hain
tum hi kahoo... yeh kaisa qissa hua
main kaise khushboo aur titliyon ki batein karoon
woh baba ki piyariyaan...bhaiya ki ladliyaan
woh maam ki dulaariyaan
jaa kar kahan hain woh soo gaien
andhere rastoon main kahan woh khoo gaein
zameen ki chadaar urhay woh soo gaein
yeh kaisa manzur mayri ankhoon ne dekha
jin mathoon pe hoti thi maa ke bosoon ki khushbo
woh mathey aub zakhmon se choor hain
woh maan hai kahaan??...uske boosay kahaan??
ankhein jaamid rahein.....dil bhi roota tha
tum hi kahoo.... yeh kaisa qissa hua
main kaise baharoon ki...kaliyon ki batein karoon
yeh kaisa shikaasta sa aik baap hai
uskay bazoo na'tawaan...zakhmoon se chor hai
uskay bachay...uskey bazoo hain us se juda ho gaey
bohot hairaat main woh... bohot wehshaat main woh
ankhein be'khabar hain.....hoosh se na'peed hain
tum hi kahoo... yeh kaisa qissa hua
main kaise jugno'un ki... ab'sharon ki batein karoon
woh maoon ke anchaal hain kahan khoo gaey
narm bahoon ke haalay hain kahan reh gaey
manno mitti main daab ke hain kiun soo gaye
tum hi kahoo... yeh kaisa qissa hua
main kaise rangoon ki... pholoon ki batein karoon



~TuHmaTaiN ToU LaGti HaiN~

Tuhmatain Tou Lagti Hain
RoShni Ki khawaHisH mAy
GhaR sAy BahiR AnAy Ki KucH Saza Tou MilTi HaY


Log LoG HoTy HaiN
In Ko KiYa KhaBer JaNa !
Ap K IraDoon Ki KhoBsoraT AankhOn MaY
Bas waLaY KhaWaBoOn K runG KaiSay HoTaY Hain
DiL Ki GoD Aangan Main Palnay Wali BaaToOn KaY
ZaKhm KaisaY HotaY haiN
KitNaY GahraY HoTay HaIn
KuB yE socH SaktaY HaiN
Aisi BeGunaH AankhaiN
GhaR KaY KonaY KhodRoOn MaY chuP k KitNa RotI HaiN


PhiR Bhi Ye KahaNi sAy
ApnI KaJ-AaDae sAy
Is QadeR RawaaNi saY DaastaaN SunAty HaiN
AuR YaQeeN Ki AankhaiN
Such kaY GhuM-ZaDa DiL sAy Lag K RonaY lagti HaiN...



~.~Pagal Ankhon Wali Larki~.~

Pagal Ankhon Wali Larki
Itne Mengay khawab Na Dekhoo
Thak jahoo gi
Kanch se Nazuk Khwab Tumhare
Toot Gaye Toh Pastao Gi
Tum Kia Jano
Khwab....Safar Ki Doop Ke Teshay
Khwab....Adohri Raat Ka Dozakh
Khwab....Khayaloon Ka Patchtawa
Khwabo Ka Hasil Tanhi
Mengey Khwab Kareedna Ho toh
Ankhain Betchna Parti Hain
Rishty Bholna Partay Hain
Andeshoon Ke Rath Na Phenko
Khwabon Ke Oat Saraab Na Dekho
Pyaas Na Dekho
Itne Mangey Khwab Na Dekho
Thak Jahoo Gayee



""QaDam Ussi MorR Par JaMay HovY Hain""

Qadam Ussi Morr Par JamaY hovy Hain
Nazar SameeTay Hovy Khara HoOn
JaNoOn Ye MaJBoOr Kr Raha Hy Palat K DekhOon

KhuD Ye Kahti Hay Morr MuRr Ja
Agarchay AhsaS Kah Raha Hy
KhuLay DareeChOon K PeChay Say Do AankhaiN Jhankti Hain
Abhi Mere IntiZar May Woh Bhi Jagti Hay
Kahin Tou Usk Gosha-e-Dil May Bhi DarD HogA
UsaY Ye ZiD Hay K Main PukaRoOn
MujhY TaQaaZa Hay Woh BulaEy
Qadam Ussi MorR PaY JamAy HaiN
NazaR Sameetay Hovy Khara HoOn !!!




!~~~~~SAPNY KAISAY BAAT KARAIN~~~~!

sapny kaisay baat karain
khadshon ki zanjeer pari hay
neend bhari sab aankhon main
sapny kaisay baat karain
sapny kis say baat karain
jin logon ka rasta taktay
umrain rizq-e-khak huin
ab woh log aur un kay sapny dekhnay wali
aankhin bujh kar raakh huin
raakh kay is anbar main hongay
kaisay kaisay khawab zinda
khawabon ki is raakh ko lakin
cheray kon?
jis raston per chaon na pani
us per deeray dalay kon?
jis mitti main rait mili ho
us main kaisay bagh lagain
dariya hi payab hun jab to
us main kashti kiya lay jain
khushboo aik awara jhonka
is jhonkay ko gheery kon
kaisay duniya ko batlaon
tum hotay ho mery kon!!!



Ajub din thay mohabbat ke
Ajub mausum thay chaahut ke
kabhi gur yaad aajein tao pulkoon pe sitare jilmilate hein
kisi ki yaad mein jaagna maamol tha apna
kabhi gur neend aajati tao hum yeh sooch leyte thay
abhi tao wuh huamre waste rooya nahi hoga
abhi sooya nahi hoga
abhi hum bhi nahi roote
abhi hum bhi nahi soote
so phir hum jagte aur os ko yaad kerte thay
akaliey beath ker weeran dil abaad kerte thay
humare samne taaron ki jhurmut mein akaila chaand hota tha
ju os ke husn ke aagey b uhat hi maand hota tha
Falak pe raqs kerte ungint roshun sitaaron ko
ju hum turteeb deyte thay
tao os ka naam bunta tha
hum agley rooz jub milte tao guzri raat ki hur beykali ka ziker kerte thay
hur ik qisa sunate thay
kahaan ' kis waqt' kis tarhaan se dil dhurka' batate thay
main jub kehta keh " janaan! aaj tao main raat ko ik pul nahi sooya"
tao wuh khaamosh rehti thi
pur os ki neend mein doobi howi do jheel si aankhein
achanuk bol uth'ti thien
Main jub os ko batata tha
keh " main ne raat mein roshun sitaron mein tumhara naam dekha hai"
tao wuh kehti
" Hasan! tum jhoot kehte ho
sitare main ne dekhe hein
aur in roshun sitaron mein tumahra naam likha tha"
"Lugta hai ub apne sitare mil hi jaeyingey"
mager os ko khabur kya thi
kinaarey mil nahi sakte
Mohabbat ki kahani mein
MOHABBAT KERNE WALO KE
SITARE MIL NAHI SAKTE....................



***Suno jaanaa'n!***

Suno jaanaa'n!
Yun tanha ab akailay..
Raat bhar jaaga nahin jata.
K tanha bojh chahat ka...
Tou ab uthta nahin mujh say,
Suno!
Kia aisa ho nahin sakta...
K...........
Aadhi raat ko..
Kuch dair sahi....
Tum agar jago?
Ye chahat ka hasee'n aik bojh,
Aadha hi sahi....
Tum baant lo mujh say,
Phir aadha dard tum lay lo...
Phir aadhay khwaab tum daikho..
Ye dil ki beqarary...
Mujh say aadhi baant lo tum bhi,
Tou ab tum hi kaho jaanan!!!
Phir iss baar-e- muhabbat ko...
Tum aadha baant lo gay naa?????



Kisi Kamzoor Lamhey Main,
Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,
Mujhey Tum Say “MUHABAAT“ Hai,
Tum Ye Mat Samaj Lena,
Kay.............!!!!!!!!!

Mein Nay Sach Kaha Ho Ga,
Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko,
Aise dilbar Aadaoon Main Kehna,
Mujhey Bachpan Say Aata Hai,

Meri Aankhein Mera Chehra,
Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja,
ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager,

Iss Jhoot Main Bhi Ek Sach Hai,
Kay.................!!!!!!!!!!!!!!,
Mujhey Tum Say “MUHABBAT“ Hai



.Nahee'n kertay...!

Ha'nstay huey laugo'n ko..
Rulaaya nahee'n kartay..

Hum zakhm-e-jigar apna..
Dikhaaya nahee'n kartay..

Ek baar jisay apnay..
Nigaaho'n say gira dai'n..

Us shaks ko phir dil may..
Basaaya nahee'n kartay..

Us shaks say mil ker..
Mujhay ehsaas hua hay..

Jo pairr barry hotay hai'n..
Saaya nahee'n kartay..

Rakhtay hai'n unhia'n hum..
Sadaa seenay say laga ker..

Dukh apnay kisi ko bhi..
Sunaaya nahee'n kartay..

Yeh khail mohabbt ka hay..
Phir sooch lo ",,,,"

Kho daitay hai'n sab kuch yahaa'n
Paaya nahee'n kartay...!



Yeah bay'nayaaz ghanay jungloon say baal tairay
Yeah phoolti hoi sarsoon ka aks galoon par
Yeah dharkanoon ke zubaan boltay howay abroo
Kamand daal rahay hain mairay khayaloon par

Yeah naram naram say hathoon ka garam garam lamas
Gudaaz jisam pay baloor tehoon ka samaan!
Yeah ungliyaan, yeah zumurad tarashee shakhain!
Kiran kiran tairay dantoon pay motiyoon ka gumaan

Yeah chandini mein dhullay paoon jab bhi ruqs karain
Fiza mein un ginay ghungroo chanaknay lagtay hain
Yeah paoon jab kissi rastay mein rung barsayain
Tu mousmoon kay muqadar chamaknay lagtay hain

Tairi jabeen pay agar hadson kay naqas ubhrain
Mizaaj gardish e doraan bhi larkharaa jaye
Tu muskuraye tu subhain tujhay salaam karain
Tu ro paray tu zamanay ke ankh bhar aye

Taira khayaal hai khushboo, taira libaas kiran!
Tu khaak zaad hai ya asmaan say utree hai ?
Mein tujh ko daikh kay khud say sawaal karta hoon
Yeah mouj e rung zameen par kahaan say utaree hai ?

Mein kis tarhaan tujhay lafzoon ka payrhan bakhshoon ?
Mairay hunar ke bulandi tu sar'nagoon hai abhi
Tairay badan kay khud o khaal mairay bus mein nahi
Mein kis tarhaan tujhay sochoon, yeahi junoon hai abhi

Milay hain youn tu kaye rung kay haseen chehray!
Mein bay'nayaaz raha mouj e saba ke tarhaan !!
Tairi qasam tairi qurbat kay mousmoon kay baghair
Zameen pay mein bhi akayla phir khuda ke tarhaan

Magar mein shehar e hawadis kay sung zadoon say
Yeah Aaina saa badan kis tarhaan bachaoon ga ?
Mujhay yeah dar hai kissi roz tairay kurb samait
Mein khud bhi dukh kay samandar mein doob jaoon ga!

Mujhay yeah dar hai kay tairay tabasumoon ke phuwaar
Younhi wafa ka taqaza, haya ka toor na hooo ?
Taira badan, tairi duniya hai muntazir jiss ke,
Mein sochta hoon mairi jaan woh koi "Aur" na hoo



***mere dil mere musaafir***

mere dil mere musaafir
huaa phir se hukm saadir
ke vatan badar ho.n ham tum
de.n galii galii sadaaye.N
kare.n ruKh nagar nagar kaa
ke suraaG koii paaye.N
kisii yaar-e-naamaabar kaa
har ek ajanabii se puuchhe.n
jo pataa thaa apane ghar kaa
sar-e-kuu-e-naashanaayaa.N
hame.n din se raat karanaa
kabhii is se baat karanaa
kabhii us se baat karanaa
tumhe.n kyaa kahuu.N ke kyaa hai
shab-e-Gam burii balaa hai
hame.n ye bhii thaa Ganimat
jo koii shumaar hotaa
hame.n kyaa buraa thaa maranaa
agar ek baar hotaa



***abhi thero
"abhi kuch din lagain gay"***

abhi hum apni apni khusboaon ko dil say milnay dain
unhain mehsoos karnain dain
wafa kia aur taqaza-y-mohabbat
ki hadain kia hain
hadoon ki sarhaddain kia hain
phir in kay paar janay ka sabbab kia hai

dhiyan-0-bay dhiyani main
tumhari bheeghti batoon ki naddiya ki rawani main
kahani hi kahani main
agar bay-ja wo manzil
koi khahish dilon ki kookh say paida hoi to kon dekhay ga
hamaray naam ki sachai ko
aur khahison kay bay-nasab mehtab chehron ko

abhi thehro
abhi kuch din lagain gay
rista-y-bay naam ko hum-naam karnain main
kahani ko kisi agaz say anjaam karnay main
kahin izhar karnay main
hamain iqrar karnay main
abhi thehro
abhi kuch din lagain gay



***Udaasi Thehar jati hay***

Uhaasi ka Agarcha apna koi Ghar nahi hota...
Magar jab bhi nigahon mein
GuzarGahon ka Sona pan khatakta hay
Kisi kay Aks mein Doobi hoi Ankhein
Kabhi Jo Barishon ka Saath deti hain
Safar ki Shab
Akelay Pan ka gehra Rang
Jab Veeran Dehlizon ki Pheeki zardiyon par Pheil jata hay
Musaafir ko magar Jab bhi Pursa nahi deta
Udaasi Thehar jati hay
GaYE mausam
Palat kay yaad kay Dhundlay Dareechon par
Adhori Dastakon kay Shak bitha jatey hein
Sardi Saans kay Tan man mein bas jati hay
Seenay mei koi Lamha Utar kar Toot jata hay
Kabhi Muddat kay pardesi
Kabhi apne na aanay ka koi Pegham bejhein
Aur Makaanon pe Likhi Umeed Benaiee Gawa bathey
Chathon pe Bhanj pan ka Dukh utar aaye
Udaasi Thehar jati hay
Kabhi Bichray hovon ka Dukh
Kisi bhi SHaam ki Veerani se Lag kar roota hay
Shabein Be arzo ho kar Khamoshi Aourr leti hein
Kabhi jab Dil kay Nazuk Taar se likha gaya koi Khat
Kahein Rastey mein Kho jaye
Ya Khat ki Muntazir Khuahish ko koi Rog lag jaye
Jahan Moqa nikal aaye ..



Yeh Jee Chahta Hai Tumhe Khat Likhun,
Magar Sochta Hoon Ke Khat Mein Tumhe
Wafa Aashna, Be-Muravvat Likhun,
Wo Milne Milane Ki Rasmein Likhun,
Un Aankhon Ke Wo Surkh Dooray Likhun,
Larazte Labon Ke Katore Likhun,
Tabassum Ke Shole Sharare Likhun,
Shararat Ke Rangeen Ishare Likhun,
Hui Baat Khamoshiyon Mein Likhun,
Likhun Kya Agar Main Tumhe Khat Likhun...

Nazar Reh-Guzar Dar Dareeche Likhun,
Haram Farsh Chilman Ghaleeche Likhun,
Khalish Karb Zakhm-E-Tamanna Likhun,
Junoon Bekhudi Jaam-O-Meena Likhun,
Jafa Berukhi Beniyazi Likhun,
Haqeeqi Muraadi Majaazi Likhun,
Dil Aaraa Dil Aazaar Dilbar Likhun,
Sanam Sangpaara Sitamgar Likhun,
Tumhari Ada Apni Wehshat Likhun,
Likhun Kya Agar Main Tumhe Khat Likhun...

Mulakat Ka Aakhri Pal Likhun,
Main Daaman Likhun Ye Ke Aanchal Likhun,
Glogeer Afsurdaa Gharyan Likhun,
Wo Namak Palkon Ki Ladyaan Likhun,
Kashakash Hawaadis Salasil Likhun,
Hayaat-O-Ajal Ka Main Haasil Likhun,
Ghazal,Nazm, Qata, Rubai Likhun,
Hadees-E-Dam-E-Alwidayi Likhun,
Koi Khat Likhun Ya Wasiyat Likhun,
Khoun Kya Agar Main Tumhe Khat Likhun...



***Akeli bohat hoon mein….***

sachchaaee ko jab sehna chaaha..
sach baat jab bhi kehna chaaha,
lab kholney sey pehley hi…

jab peechey murr key dekha tab,
idraak huwa mujh pey yeh key….
mein bohat akeli hoon,

haqeeqatoon sey ser takraaney ko…
haq apna, haq sey paaney ko,
qadam berhaaney sey pehley hi…

jab peechey murr key dekha tab,
idraak huwa mujh pey yeh key….
mein bohat akeli hoon,

achchaaee key badley, achcha paaney ki…
khawhish dil mey jaagi tu,
umeed jagaaney sey pehley hi….

jab peechey murr key dekha tab,
idraak huwa mujh pey yeh key….
mein bohat akeli hoon,

mein bohat akeli hoon.



***Ussay Kehna...!***

Ussay kehna december aa gya hai
december k guzartey he bars ek aur maazi ki gaphha main
Doob jaey ga
Ussay kehna December lout aaey ga
Magar jo khoon so jaey ga jismon main na jaagey ga
Ussay kehna k hawaein sard hain aur zindagi k kohrey
Deewaaron main larzaan hain
Ussay kehna shagoofey tehniyon main so rehey hain
Aur unn per barf ki chaadar bichi hai
Ussay kehna agar sooraj na nikley ga
Tou kaisay barf pigley gii
USSAY KEHNA K LOUT AAO....



***Jo Chaho Agar To Tum Aisa Karo,***

Ehsaas Ke Saare Rishte Tod Do,
Pyaar Ke Saare Bandhan Khol Do,
Dilse Apne Bhula Do Mujhe,
Aur Phir Kabhi Na Yaad Aao Mujhe,

Dua Hai Meri Khuda Se Ke,

Har Kadam Tumhara Manzil Ki Taraf Uthe,
Aakash Ke Sitaro Ko Chhu Lo Tum,
Khushiyan Har Dam Tumhari Raah Take,
Jugnu Ki Tarah Jhilmilao Tum,

Kash Ke Aisa Ho Jaye,

Kisi Kadam Par Mehsoos Na Ho Kami Meri,
Kisi Makaam Par Mujhko Yaad Na Karo Tum,
Khushiyon Mein Aise Apni Magan Raho,
Kabhi Mazi Ke Warq Na Palto Tum...

Magar Ye Bhi Yaad Rakhna,

Agar Kisi Manzil Par Pahuch Kar Koi Dard Mil Jaye,
Aankh Tumhari Jo Kabhi Purnam Ho Jaye,
Kabhi Kisi Apne Ki Kami Mehsoos Karo To,
To Tum Mujhe Pukar Lena,

Aur Agar Ye Bhi Na Kar Pao To,

Dilko Apne Samet Lena,
Aur Bas Yaad Mujhe Tum Kar Lena,
Aankhon Ke Dwaron Ko Band Kar Lena,
Mehsoos Mujhe Tum Kar Lena,

Aur Phir Yun Karna Ke,
Saare Raaz Apne Dil Ke Tum Mujhse Keh Lena,
Saare Dard Apne Dil Ke Tum Mujhse Baant Lena,

Bas Meri Ek Aakhri Khwahish Yaad Rakhna...